Shankar Mahadevan Jame Raho Lyrics

Kas Ke Joota Kas Ke Belt
Khons Ke Andar Apni Shirt
Manzil Ko Chali Sawaari
Kandho Pe Zimmedari

Haath Mein File Man Mein Dum
Meelon Meel Chalenge Hum
Har Muskil Se Takrayenge
Tas Se Mus Na Honge Hum

Duniya Ka Naara Jame Raho
Manzil Ka Ishaara Jame Raho
Duniya Ka Naara Jame Raho
Manzil Ka Ishaara Jame Raho

Ye Sote Bhee Hain Attention
Aage Rehne Ki Hai Tension
Mehnat Inko Pyari Hai
Ekdum Aagyakari Hain

Ye Omlet Par Hi Jeete Hain
Ye Tonic Saare Peete Hain
Waqt Pe Sote Waqt Pe Khate
Taan Ke Seena Badhte Jate

Duniya Ka Naara Jame Raho...

Yahaan Alag Andaz Hai
Jaise Chidta Koi Saaz Hai
Har Kaam Ko Taala Karte Hain
Ye Sapne Paala Karte Hain

Ye Hardum Socha Karte Hain
Ye Khud Se Poocha Karte Hain

Kyon Duniya Ka Naara Jame Raho...

Ye Waqt Ke Kabhi Ghulam Nahin
Inhain Kisi Baat Ka Dhyan Nahin
t__li Se Milne Jaate Hain
Ye Pedon Se Batiyate Hain

Ye Hawa Batora Karte Hain
Barish Ki Boondein Padhate Hai
Aur Aasmaan Ke Canvas Pe
Ye Kalakariyan Karte Hain

Duniya Ka Naara Jame Raho..

See also:

77
77.93
EARS Tvár Lyrics
Gladiator Pieseň čiernych vrán Lyrics