IIT kanpur Lyrics

din bhar kaam
din bhar kaaaam
main hun kaha, ye hai kya ho raha
ek pal nahin hai chain yahan
dil ka sunkoon hai kho sa gaya
ek hulchal din-rein yahan

na(ha)na dhona khaana peena
subah ko uthna class ko jaana.
cycle puncture late ho jaana
toh phir sir se daant hai khaana

kya hai musibat apni halat koi na samjhe

presentation, course submission
mid sem, end sem ka hai tension
mummy bole ghar aa jaana
teacher bole nananana

din bhar kaam nahin aaram koi yeh bataye kaha jaayein hum.
mil jaaye aisi tarkeeb ki aaye khushi mit jaaye har gum

naya semester fees hai bharna
mess bill ko hai time pe dena
cell phone ko recharge hai karna
dhobi bole paise dena

yeh hai hakeeqat apni kismat koi na jaane

ATM ke line mein lagna
cash banaane form hai bharna
jeb ho khali to ghabrana
yaaron se phir paise lena

din bhar kaam nahin aaram koi yeh bataye kaha jaayein hum.
mil jaaye aisi tarkeeb ki aaye khusi mitjaye har gum

phir bhi yaaron hum hai hanste
download karke gaane sunte
rio jaake hum movie dekhte
ispice jaake ice cream khaate

aisi hi chalta apna jeevan zindadil hum

aadhi raat ko yaaron ke sang cc canteen chalke jaate
chai coffee aur cold drink peete
gaate bajaate phir so jaate

din bhar kaam nahin aaram koi yeh bataye kaha jaayein hum.
mil jaaye aisi tarkeeb ki aaye khusi mit jaaye har gum

din bhar kaam nahin aaram koi yeh bataye kaha jaayein hum.
mil jaaye aisi tarkeeb ki aaye khusi mit jaaye har gum

See also:

85
85.91
Nana Mouskouri Nana Mouskouri - My Friend The Sea Lyrics
Desde cai a sevilla Lyrics