Udit Ghar se nikal Lyrics
(Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
raste main hai uska ghar, kal subah dekha to
baal banati vo, khidki main aayi nazar ) -2
Ghar se nikalte hi ..
Masoom chehera, neechi nigahein
bholi se ladki, bholi adaayein
na apsara hai, na vo pari hai
lekin yeh uski, jadoogari hai
deewana kar de vo, ek rang bhar de vo
sharma ke dekhe jidhar.
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
raste main hai uska ghar..
Karta hoon uske, ghar ke main phere
hasne lage hain, ab dost mere
sach keh raha hoon, uski ki kasam hai
main phir bhi khush hoon, bus ek gam hai
jisse pyaar karta hoon, main jispe marta hoon
usko nahi hai khabar.
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
raste main hai uska ghar..
Ladki hai jaise, koi paheli
kal jo mili mujhko, uski saheli
maine kaha usko, jake yeh kahna
achha nahi hai, yoon door rahna
kal shaam nikle vo, ghar se tahelne ko
milna jo chahe agar.
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
raste main hai uska ghar, kal subah dekha to
baal banati vo, khidki main aayi nazar.
See also:
JustSomeLyrics
98
98.124
Gennaro Cosmo Parlato Comprami Lyrics
Dreams For The Dying As I Watched You Fade Lyrics