Jodha Akbar Jashn-E-Baharaa Lyrics
kehne ko jashn-e-baharaa hai
ishq yeh dekh ke hairaan hai
kehne ko jashn-e-bahara hai
ishq yeh dekh ke hairaan hai
phool se khusboo khafaa khafaa hai gulshan mein
chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
saare sehme nazaare hain
soye soye waqt ke dhaare hain
dil mein khoi khoi si baatein hain
hooooooo.......
kehne ko jashn-e-baharaa hai
ishq yeh dekh ke hairaan hai
phool se khusboo khafaa khafaa hai gulshan mein
chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
kaise kahein kya hai sitam
sochte hai ab yeh ham
koi kaisen kahen woh hain yaa nahi hamaare
karte to hain saath safar
faasale hain phir bhi magar
jaise milte nahi kisi dariya ke do kinaare
paas hai phir bhi paas nahi
hum ko yeh gam raas nahi
sheeshe ke ek dewaar hai jaisi darmiyaan
saare sehme nazaare hain
soye soye waqt ke dhaare hain
dil mein khoi khoi si baatein hain
humne jo tha nagma suna
dil ne tha usko chuna
yeh dastaan hamein waqt ne kaisi sunaai
hum jo agar hai gumgeen
woh bhi udhar khush toh nahi
mulaaqaton mein hai jaise ghul si gayi tanhaai
milke bhi ham milte nahi
khilke bhi gul khilte nahi
aankhon mein hain bahaaren dil mein fiza
saare sehme nazaare hain
soye soye waqt ke dhaare hain
dil mein khoi khoi si baatein hain
hooooooo.......
kehne ko jashn-e-baharaa hai
ishq yeh dekh ke hairaan hain
phool se khusboo khafaa khafaa hai gulshan mein
chupa hai koi ranj fiza ke chilman mein
See also:
JustSomeLyrics
101
101.2
Funeral Winds Anzu Lyrics
Circle II Circle Revelations Lyrics