ek sanam chahiye Lyrics

Saanson kii zaruurat hai jaise
Zindagii ke liye
Bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye

Jaam kii zaruurat hai jaise bekhudii ke liye
HaaN ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye
Bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye

Waqt ke haathon men sabakii taqadiiren hain
Aainaa jhuuthaa hai sachchii tasaviiren hain
JahaaN dard hai vahiin giit hai
JahaaN pyaas hai vahiin miit hai
Koi naa jaane magar jiine kii yahii riit hai
(saaz kii zaruurat hai jaise, mausiqii ke liye
Bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye

Manzilen haasil hain phir bhii ek duurii hai
Binaa hamaraahii ke zindagii adhuurii hai
Milegii kahiin koi rahaguzar
Tanhaa kategaa kaise ye safar
Mere sapane ho jahaaN
Dhuundhuun main aisii nazar
Chaand kii zaruurat hai jaise, chaandanii ke liye
Bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye

See also:

39
39.10
Fabio Junior Senta Aqui Lyrics
Doe Maar Aan de bewoners van dit pand Lyrics